Dastoor...
By Habib Jalib
Deep jis ka mehlaat mein jalay
Chund logoon kee khushioon ko lay kar chalay
Voh jo sayay mein har muslehat kay chalay
Aisay dastoor to subh-e-benoor ko
Mein naheen maanta, mein naheen jaanta
Mein bhi khaif naheen takhtaa-e-dar say
Mein bhee Mansoor houn keh do aghyar say
kyon Dartey ho zandaan kee divar say
Zulm kee baat ko, jail kee raat ko
Mein naheen maanta, mein naheen jaanta
Phool shakhoon peh khilnay lagay, tum kaho
Jam rindoon koe milnay lagay tum kaho
Chak seenoon kay silnay lagay tum kaho
Iss khulay jhoot, zehain kee loot ko
Mein naheen maanta, mein naheen jaanta
Tum nein loota hai sadiyoon hamara sakoon'
Ab naa hum par chalay gaa tumhara fasoon'
Chaaragar mein tumhein kiss tarab say kahoon?
Tum naheen charagar ko manay,magar
Mein naheen maanta, mein naheen jaanta
‘SPINE’
4 years ago
0 did criticisms:
Post a Comment