Advertisements

For lovers


(Minus moderns and Urdu only :)


Hasil jo huay dard-e-mohabbat k lazaiez
Mein bhool gaya 'aish-o-'ishrat k lazaiez
*   *   *
Parday nazar pay kasrat-e-khobi k par gaye
Chaha magar na dekh sakay hum Jamal-e-doost
*   *   *
(I recited following two verses to my friends on campus one cold morning and they said, "You've made our morning so fresh and delightful... we can't express.")

Har lehza hai tasawwur ay rashk-e-Hoor tera
Ankhoon mein noor tera dil mein saroor tera
Mehfil mein un say ki hoon gustakhian kisi nay
Par wo yehi kahain gay "sab hai kasoor tera"
*   *   *
Na teray husan ki husn ki misaal mili
Na meray shouq ka jawab hua
Khuhaish-e-deed kamyaab hui
Chera-e-Yar bay-niqaab hua
Ab na wo Tum rahay na Hum Afsoos
Kia zamanay ka inqilaab hua
*   *   *
Tark-e-jurm-e-'aashqi mumkin nahi
Phir isi ka hum say ho ga irtiqaab 

(Means, umer can't be stopped from going to khanqah once again this week...)

2 did criticisms:

WritingsForLife said...

wow... this is so beautiful and touching. Thanks for sharing.

M. Umer Toor said...

@ Raaji

:)
Jazakallah

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...

Advertisement

MuddleHead Signs Off!!

MuddleHead Signs Off!!
free counters